17 Famous Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu


Ashfaq Ahmed Quotes was very famous among the people of Pakistan and our site collect some quotes of Ashfaq ahemd from different different site. Ashfaq ahmed was a famous writer from Pakistan. He was born in 22 August 1925. His education on GCU. He wrote has many books in urdu. He has written several quotes in urdu. His work on novels, short stories & play an act for television. Hopefully you like these Quotes.

Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu List




Quotes & Overview in Urdu:-

Aik din hum aik doosrey ko yeh soch kar khoo dain ge keh
Jab wo yaad nahi karta main to kyun usy yaad karn.

ایک دن ہم ایک دوسرے کو یہ سوچ کر کھو دیں گے کہ
جب وہ یاد نہیں کرتا میں تو کیوں اسے یاد کروں

urduquotes.club

Quotes & Overview in Urdu:-

Achi baat toh sab ko achi lagti hai lekin jab tumhain ksi ki buri baat
Bhi buri na lage toh samajh lena tumhain is se muhabat hai . Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu

اچھی بات تو سب کو اچھی لگتی ہے لیکن جب تمہیں کسی کی بری بات
بھی بری نہ لگے تو سمجھ لینا تمہیں اس سے محبت ہے


Quotes & Overview in Urdu:-

Zindagi kbhi kbhi aesi thookar maarti hai keh
Insaan seedha sajde main ja girta hai.

زندگی کبھی کبھی ایسی ٹھو کر مارتی ہے کہ
انسان سیدھا سجدے میں جا گرتا ہے

urduhindiquotes

Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu:-

Agar hum Allah ki khushnudi ke liye insaanon ko muhabat se dekhna shru karden
Toh aap mehsoos karain ge keh Allah aap ko muskura kar dekh raha hai.

اگر ہم الله کی خوشنودی کے لیے انسانوں کو محبت سے دیکھنا شروع کردیں
تو آپ محسوس کریں گے کہ الله آپ کو مسکرا کر دیکھ رہا ہے-


Quotes & Overview in Urdu:-

Jab aankhoon se sajdey behney lagain
Toh qabuliyat ke samandar main zaroor halchal hoti hai.

جب آنکھوں سے سجدے بہنے لگیں
تو قبولیت کے سمندر میں ضرور ہلچل ہوتی ہے


Quotes & Overview in Urdu:-

Musalmanoo ka har firqa hi aik doosrey ko kafir kehta hai
Bas aik kafir hi hum sab ko musalman kehta hai. Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu

مسلمانوں کا ہر فرقہ ہی ایک دوسرے کو کافر کہتا ہے
بس ایک کافر ہی ہم سب کو مسلمان کہتا ہے


Quotes & Overview in Urdu:-

Khamoshi ki aik duniya hai, is main agar aap dakhil hosakte hain
Toh phr hi aap us ka maza le sakte hain.

خاموشیاں کی ایک دنیا ہے، اس میں اگر آپ داخل ہوسکتے ہیں
تو پھر ہی آپ اس کا مزہ لے سکتے ہیں


Quotes & Overview in Urdu:-

Main janta hoon keh main kuch toh hoon kyuenkeh
Mera rab koi bhi cheez bekar nahi bnata.

میں جانتا ہوں کہ میں کچھ تو ہوں کیونکہ
میرا رب کوئی بھی چیز بے کار نہیں بناتا


Quotes & Overview in Urdu:-

Dard wo hota hai jo hamain dosroon ko takleef main dekh kar ho
Warna apna dard to janwaroon ko bhi mehsoos hota hai .

درد وہ ہوتا ہے جو ہمیں دوسروں کو تکلیف میں دیکھ کر ہو
ورنہ اپنا درد تو جانوروں کو بھی محسوس ہوتا ہے


Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu:-

Zindagi akhir kar rula deti hai phr chahey
Hum apney maan baap ke kitne hi laadley kyun na hoon.

زندگی آخر کار رلا ہی دیتی ہے پھر چاہے
ہم اپنے ماں باپ کے کتنے ہی لاڈلے کیوں نہ ہوں


Quotes & Overview in Urdu:-

Kash insaan bhi note ki tarah hote keh
Banda roshni main karke dekh leta keh andar se kesa hai .

کاش انسان بھی نوٹ کی طرح ہوتے کہ
بندہ روشنی میں کرکے دیکھ لیتا کہ اندر سے کیسا ہے


Quotes & Overview in Urdu:-

Jab aap na khush hote hain, naraz or nasaz hotey hain
Toh har sheh dhoondali par jati hai na bahar ka husun nazar aata hai
Or na andar ka aawazain mudham par jati hain khushbwien maanid hojati hai.

جب آپ ناخوش ہوتے ہیں، ناراض ور ناساز ہوتے ہیں
تو ہر شئے دھوندلی پڑ جاتی ہے نہ باہر کا حسن نظر آتا ہے
اور نہ اندر کا آوازیں مدھم پڑ جاتی ہیں خوشبوئیں ماندہو جاتی ہیں-


Quotes & Overview in Urdu:-

Aksar log larai ke dooran yeh baat keh kar larai jari rakhtey hain keh hum se
Ghalt baat bardasht nahi hoti halankeh ghalat baat bardash karna hi toh sabar hai
Saheeh baat bardasht nahi ki jati tasleem ki jati hai .

اکثر لوگ لڑائی کے دوران یہ بات کہہ کر لڑائی جاری رکھتے ہیں کہ ہم سے
غلط بات برداشت نہیں ہوتی حالانکہ غلط بات برداشت کرنا ہی تو صبر ہے
صحیح بات برداشت نہیں کی جاتی تسلیم کی جاتی ہے


Quotes & Overview in Urdu:-

Muhabat se ghum or udasi zaroor peda hogi
Wo muhabat hi nahi jo udas na kardey .

محبت سے غم اور اداسی ضرور پیدا ہوگی
وہ محبت ہی نہیں جو اداس نہ کردے


Quotes & Overview in Urdu:-

Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu Wo deen ksi ko kya nuqsan pohchaiye ga
Jis main raastey se pathar hataney par bhi sawab milta ho.

وہ دین کسی کو کیا نقصان پہنچائے گا
جس میں راستے سے پتھر ہٹانے پر بھی ثواب ملتا ہو


Quotes & Overview in Urdu:-

Hum main se zinda wohi rahe ga jo diloon main zinda rahe ga
Or diloon main wohi zinda rehtey hain jo kher baantey hain or asaaniyan baantey hain

ہم میں سے زندہ وہی رہے گا جو دلوں میں زندہ رہے گا
اور دلوں میں وہی زندہ رہتے ہیں جو خیر بانٹے ہیں اور آسانیاں بانٹے ہیں


Ashfaq Ahmed Quotes in Urdu:-

Sach bolney ka shoq ho toh apney baarey main bolo
Logon ki zindagi azab mat bnaien.

سچ بولنے کا شوق ہو تو اپنے بارے میں بولو
لوگوں کی زندگی عذاب مت بنائیں

Post a Comment

0 Comments